Tuesday, July 19, 2016

Katra -A city devoted to Mata Rani

Katra - a city devoted to Mata Rani 

Jab hamne Delhi airport se Jammu ki journey start kiya to man me bas yek hi baat aa rahi thi hamara maksad tha mata durge vaishnav devi ka darshan karna . Ticket sari booked thi .... Humne helicopter ride ka ticket liya tha, vaishnav devi ka jo Sthan hai ooh yek pahar pe hai ... Karib 15 km ka tracking , or ye kah lo ki walk hai .... Kyo ki raste bahut hi Aache bane huye hai ... Lekin 15 km ki continuous Chadai easy nahi hai. Kuch log palki pe to kuch log ghore pe jate hai lekin most of the people walk karte hai ... Ye yek aadbhutuwa experience tha , logo ke man me maata ki bhakti dekhte hi banti thi. Garib Amir , budhe jawan bache larkiya larke Sabhi log bhakti me doobe huye the ... Aur jai mata di ke nare laga rahe the ...
 Humlogo ki helicopter ride ki ticket thi 4 pm ki lekin logo ne kaha aagar jaldi chale jao to cancellation ke karan wo log jaldi bhej dete hai .... Hamare man me bhi bhkati ke allawa kuch nahi tha ..
So humlog jaldi chale gai around 12 wo logo ne after 2 hours wait Karne ki baad hum logo ko allow kar diya ... Boarding pass bhi mil Gaya tha ... Lekin weather kharab hone ke Karan chopper ride hold pe thi .... Humne yek hour aur wait kiya fir decide kiya ki .. Aab nahi chalte hai mata ki darbaar me walk karte huye ... 
 Humne ticket refund liya aur start kiya 15 kilometer ki journey baandhganga se..
Meri betiya aur wife ke sath chal pade darshan ke liye .... Garni bahut kafi thi .., so 2 kilometer jate jate meri wife ne haath khare kar diye ..... Bola ki mujhe nahi hoga ...
To humne horse book kiya maata ke darshan ke liye . Tai hua 1100 rs pe ....  

Mera horse sabse bada tha... Aur chalne wala bahut hi zaldi me tha ... Aardhkumari - mata ka yek Roop ... Jo ki middle me hai tak Gaya aur uske baad ... Bola hum aage nahi jayege ... Kyo bhai humne pucha to pata chala ki usse roja kholna hai ... Raste me ye kabhi bhi pata nahi chal ki wo mata ka bhakt nahi hai ....
  Khair bad me usko manane ke bad wo suru hua aur hum log mata ki darbar se 3 kilometer pahle utar diya .... Auske baad.. Wo aur usska Dost kafi der tak paise mangta raha .... Hum ye karege to wo karege maata ki darbar me aap kuch aur paise dijiye ... Finally rs 1300 dena pada ....
Khair humlo Bhakti me leen chale ja rahe the..
 Wahi humne khana khaya rajma rice ... Bahut hi tasty laga ...fir humne start kiya last 3 km ka journey ..towards Bhawan ..jo ki downhill tha. Mazze me walk kar rahe the aur bandaro ka tanasha dekhte huye ....
Meri dharmpatni bahut hi dharmik type ki hai detail oriented . Too usne bath lene ki try karna suru ki kafi walk karne ke baad yek spot mila .... Lekin tabhi rain suru ho Gaya .... Kafi tez ... Bijli gir rahi thi ... Lag raha tha ki aakas fat jayega. Log mata ke nare laga rahe the, jai mata di. Light chali gai thi, aandhere me jai mata di bahut hi spiritual lag raha tha.
Lekin rain dekhne se bahut maxza aaya . Kafi Dino ke baad aisa mousan dekha tha . Bahut maaza aaya Hume to bath bhi liya rain me.
Fir rain thora kam hone ke baad . Humne parasad liya aapna sara saman wahi rakha aur chal diye mata ke darshan ke liye.
   Line me Lage the aur soch rahe the ki ma se Kya Kya mangna hai. Meri wife bhi bacho aur mere ko instruction de rahi thi ki ye mangna wo magna.
   Line divine ke aur badna suru hua man pura Bhakti se bhara tha. Auch aur nahi soch rahe the Kya magna hai aur Kya hoga jab sarvskatishali mata ko dekhege ...logo ke maata ki nare se man kuch soch nahi raha tha sirf mata mata.
    Aur aakhir wo pal aa Gaya jab meri aankhe maata pe parne wali thi .... Ma ke dharshan hote thi mantramughadh ho Gaya hai kuch bhi sochne ki shakti nahi thi.
 Totally samarpit tha man mata ke charno me. Aur kuch mang bhi nahi saka , mera muh khula ka khula rah gaya divyadevi ke darshan  ke bad... Dil khush ho Gaya ... Mata se bahut kuch mangna tha dulat health aur na Jane Kya Kya .... Kuch bhi nahi maang saka ....bas khoya hi rah gaya....

 Jai Mata Di.....

Saturday, February 13, 2016

Andal's Quotes

 'May Lord Krishna rise from his bed; my heart is His throne; and may He always shine on the throne of my heart! 

we have come to you. Only you can fulfill our desires. We shall happily sing of the boundless joy you bestowed on us.'

Thursday, February 04, 2016

Resting bitch face Meaning

resting bitch face

a person, usually a girl, who naturally looks mean when her face is expressionless, without meaning to.


source: urbandictionary